No 10 :- ohf! teri ada
Aapki Aankhen Uchi Hui To Dua Ban Gai
Neechi Hui To Haya Ban Gai
Jo Jhuk Kar Uthi To Khata Ban Gai
Aur Uth Kar Jhuki To Ada Ban Gai…
No 9 :- Dhadkan
Dil unke liye he machalta hai
Thokar khata hai or sambhalta hai.
Kisi ne is kadar kar liya dil par kabja
Dil mera hai per unke liye dhadkta hai…
No 8 :- waada
Khusbo’n Ki Tarha Meri Har Saans Mein
Pyar Apna Basane Ka Waada Karo
Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai
Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo
Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen
Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen
Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo
Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum
Dharkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum
Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo
Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahin
Ik Janib Se Hi Pyar Hota Hai
Mai Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaun Kasam
Tum Mujhko Na Bhulne Ka Waada Karo…
No 7 :- fareb
Pal pal uska saath nibhate hum,
Ek ishare par duniya chor jaate hum,
Samnder ke beech mein pahunch kar fareb kiya usne,
Wo kehta to kinare par hi doob jaate hum…
No 6 :- ruthna manana
Yaadien aksar hoti hain satane ke liye,
Koi rooth jaata hai phir maan jaane ke liye,
Rishte nibhana koi muskil to nahi,
Bas dilon me pyaar chahiye use nibhane ke liye…
No 5 :- tanhaiyan
Tanhaiyon mein muskurana ishq hai,
Ek baat ko sab se chhupana ishq hai,
Yun to neend nahi aati hamein raat bhar,
Magar sote sote jagna or jagte jagte sona hi ishq hai…
No 4 :- Chand or badal
Chand ki judai me aasma bhi tadap gaya.Uski ek zhalak pane ko har sitara taras gaya
Badal ke Dard ko kya kahoo
Chand ki yaad me vo haste haste baras gaya…
No 3 :- Khoobsurat
Khubsurat sa ek pal kissa banjata hai,
Jane kab kaun zindagi ka hissa banjata hai,
Kuch log zindagi me milte hain aise,
Jinse kabhi na tutnewala rishta banjata hai…
No 2 :- Dosti Frndzzz
Dosti ki raho mai kabhi akelapan na mile,
aai dost zindagi mai tumhe kabhi gum na mile,
dua karte hai hum khuda se,
tuhme jo bhi dost mile hum se kam na mile…
No 1 :- Ye DIL
Ek adaa aapke dil churane ki,
Ek adaa aapke dil main bus jane ki,
Chehra aap ka chand
Or Zid hamai chand ko pane ki.


No comments:
Post a Comment